Thursday, April 30, 2009

Is dasht k sehra ko samandar kar de

Is dasht k sehra ko samandar kar de
Yaa meri ankh k har ashk ko pathar kar de
Ya Allah mein aur nahi mangta tujh se kuch bhi
Meri chadar mere peron k barabar kar de
Mujhe ghair na lay yeh aatish-e-duniya ya Rab
Mujh par apni rehmat k saye ki Tu wussat ker de
Mujhe khaak na kar day meri hasti ka ghurur
Mere naffs pe tu mujh ko moutbar ker de
Ae khuda meri duwaon mein wo taseer ker de
Mangun mein tujh se qatra tu usko samandar ker de.(AMEEN)